Thursday, 25 February 2016

Negative Character Audition Monologue Hindi

Here is a sample of negative character monologue in hindi,which you can practice & perform at audition for any TV serial or film.

The character is a maniac,experiencing aggressive mood swings,taunting the other character.He has been through a lot of bad experiences because of the other character(camera) & finally he has taken revenge.



 "ha ha ha ha ha(Hysterical Laugh)

Yaad kar,yaad kar wo raat,jab maine apni jeeti hui baazi tere naam kar di thi,
kyonki wo jue ki daulat meri manzil nahi thi,meri manzil thi ye...ye kursi!

Waqt phir se usi jagah aa kar thahar gya hai...
sab kuch,sab kuch waisa hi ho rha hai jaisa 20 saal pehle hua tha.
Yaad kar singhania,
yaad kar us devta samaan insaan ko jisne tuje gale lagaya tha,
aur tune jiski peth me dhoke ka choora ghop diya tha...

Main usi Arun Kumar ka beta Ravi Kumar hun...

Yaad kar us din tu yahan baitha tha aur meri behan tujhse apni izzat ki bheek maang rahi thi,
Yahi wo kursi hai Keshav Singhania jispar baith kar tune mere poore pariwaar ko barbaad kar diya...
Mere haathon ki laqeeron me dar dar ki thokrein likh di...

Lekin aaj maine tumhari ek ek jagah par apne naam ki mohar laga di hai,
aur tu chahkar bhi mera kuch nahi bigaad saka...

Kyonki is waqt teri haalat us apahij jaisi ho gyi hai,jise chalne ke liye baisakhi ki zarurat to hai...
Lekin use pakadne ke liye haath hi nahi hain...

ha ha ha ha ha."
 


Hope you like the monologue,& all the best for your audition.

2 comments: